Om Jai Jagdish Hare, Swami Jai Jagdish Hare.
Bakt jano ke sankat, pal mein door kare , Om Jai…
Jo dhyawe fal paawe, dukh binse manka
Sukh sampati ghar aawe, kast mite tunka, Om Jai…
Maat pita tum mere, sharan gahun kiski
Tum bin aur na dooja, aas karon kiski, Om Jai…
Tum pooran parmatma, tum antaryaami
Paar brahm parmeshwar, tum sab ke swami, Om Jai…
Tum karuna ke saagar, tum paalan karta
Main sewak tum swami, kirpa karo bharta, Om Jai…
Tum ho ek agochar, subke pran pati
Kis bidhi milu dayamaye, tumko mai kumti, Om Jai…
Deen bandhu dukh harta, tum rakchak mere
Apne hath uthaaw, dwar padha tere, Om Jai…
Vishaye vikaar mitaao, paap haro dewa,
Shradha bhakti badhaou, santan ki sewa, Om Jai…
Tun mun dhun sab hai tera, swami sub kuch hai tera
Tera tujhko arpan, kya laage mera, Om Jai….