Jai Lakshmi Maata, Maiya jai Lakshmi Maata

Tum ko nish din sewat, Har Vishnu Bidhaata

Om Jai Lakshmi Maata

Uma, Ramaa, Bramhaani, Rudraani, Tu hi jug Maata

Suriye Chandrama dhyawat, Naarad rishi gaata

Om Jai Lakshmi Maata

Durga roop niranjani, Sukh sampati data

Jo koi tumko dhyawat, riddhee siddhee dhun paata

Om Jai Lakshmi Maata

Tum paatal niwaasni, Tu hi hai shubh data

Karma prabhaaw prakaashni, bhawnidhi ki traata

Om Jai Lakshmi Maata

Jis ghar tum rahtee, tahan sub sudgun aata

Sab sambhaw ho jaata, Mun nahin ghabraata

Om Jai Lakshmi Maata

Tum bin yagya na hote, Wastra na koi paata

Khaan Paan ka baybhaw, Sub tumse aata

Om Jai Lakshmi Maata

Shubh gum mandir sundar, Chrirodadhi jata

Ratan chaturdash tum bin, Koi nahin paata

Om Jai Lakshmi Maata

Mahaa Kakshmi Jiki arti, Jo koi jan gaata

Ur anand samaata, Paap utar jata

Om Jai Lakshmi Maata

Facebook Comments